Monday, October 15, 2018

YouTube video publish karne ka sahi time

Kya aap ek youtube creator ho ? Agar aap ek YouTube creator ho, to aapke liye yeh jaanna bahut jaroori hai ki "YouTube par videos publish karne ka sahi time kya hota hai."


YouTube videos published karne ka sahi time
Friends, yeh time sabke liye alag-alag ho Sakta hai, lekin aaj me aapko kuch alag hi tareeka bataunga video published karne ka to post ko poora padna kahi mat jaana.


YouTube video kis time published kare
So friends, YouTube videos hame published kab karni chahiye ? To iska jawaab ek hi hoga." Jab hamare sabse jyada subscribers free ho " Ji haa yahi sahi time hota video publish karne ka kyuki jab aapke subscribers ka sabse bada bhaag active hota hai to aapke video publish karte hi aapke pahle 1 hour me hi sabse jyada views aate hai aur YouTube bhi aapke video publish ke 1 hour ke andar hi jo views aate hai unhe hi note karta hai aur jab YouTube ko lagega ki aapka video accha hai to WO aapke video ko promote karega yaani aapki videos par views aane pakke hai.

YouTube video publish karne ka sahi time
To friends, agar aapke videos par views upar wali trick aajmane ke baad bhi na aaye to aap apni YouTube videos ko shaam ko 4:00 pm - 8:00 pm tak publish kar sakte hai aur apni video ko promote karne ki poori taakat video publish karne ke pahle hour me hi laga de. Agar dosto apne yeh trick kar li to dosto me 1000℅ guaranteed hu ki aapki video ko popular hone se koi nahi ROK Sakta.

YouTube video published right time
Friends, aapne dekha hoga ki bade-bade youtubers hamesha apni video ko RAAt ko publish karte hai kyuki unke jyadatar subscribers ki age 25+ hoti hai to WO jab raat ko kaam karne office se ghar aate hai to WO 10-12 p.m. tak free rahte hai to jab unko notification milta hai to WO us par click kar dete hai but agar unko yahi notification din me mile to WO us notification ko hats dete hai kyuki unke paas wo video dekhne ka time nahi hota hai to din me bade-bade YouTube channels par bhi views nahi aate hai.

Kaise pata kare hamare subscribers kis time jyada active hote hai
So friends, aisa aap badi hi aasani se kar sakte hai bas iske liye aapko apne YouTube creator app me Jana hai aur waha par apne views ko check karna hai ki kis time aapke YouTube par views sabse jyada aa rahe hai aur aapko static pichle 24 hours ka check karna hai aur is sadule (YouTube video publish karne ka time.) Ko every month change karte rahna hai.

Agar dosto aapko yeh post pasand aayi ho to post ko apne YouTube friends ke saath bhi share kar dijiye. Thanks...

1 comment: