Friends hamara smartphone kabhi-kabhi hang hone lag jata hai ya phir storage full ho jaati hai to is wajah se bhi hamara smartphone hang hokar run karta hai. To, iska hamare paas ek hi answer milta hai ki ham apne smartphone ko hard reset kare.
Hard Reset Kya Hota Hai?
Hard reset kya hota hai? Smartphone ke poore systems, contacts, videos, songs sabhi ko delete kar dena smartphone ko hard reset karna kehlata hai. Yaani ki hamare smartphone ke poore data ko delete karke smartphone ko new jaisa bana dena. To, aasha hai ki aap smartphone ko hard reset karne ka matlab to samajh hi gaye honge.
Smartphone Hard Reset Karne Ke Faayde
Friends, har cheej ke kuch nuksaan hote hai aur kuch faayde. To, smartphone ko hard reset ke kya- kya faayde hai inke baare me bhi baat kar lete hai.
° Storage:- smartphone ko hard reset karne se aapka smartphone ka storage space Badh jata hai Jo faaltu ki memory se bhara rehta hai.
° RAM:- hard reset karte hi aapka smartphone ki RAM bilkul new ho jayegi jisse aap isme bahut se apps install kar sakte hai.
° Increase Speed:- yakeen maniue smartphone ko hard reset karne se aapke smartphone ki speed itni badh jayegi jaisa aapka smartphone new buy karte time tha.
Smartphone Ko Hard Reset Karne Ke Nuksaan
° Data wdhaniya:- smartphone ko Hard Reset ka karne ka sabse bada nuksaan yahi hota hai ki aapke phone me save saara data yaha poore smartphone ke data ki baat kar raha hu to, isse aapke smartphone ka poora data delete ho jayega. Isme aapke smartphone me save contacts, videos, audios, songs, images, apps data etc. Sab delete ho JAAYEGA aur aapka smartphone bilkul new jaisa ho jayega.
° Apps Uninstall:- agar aapne apne smartphone ko hard reset kar diya to isme Jo bhi apps install hai WO saare uninstall ho jayenge aur aapka data lost ho jayega.
Hard Reset Karne Pahle Ki Saa
wdhaniya
So, agar aapne smartphone ko hard reset karne ke baare me soch liya hai to aapko sabse pahle apne data ka backup memory card, pendrive, hard drive me kar lena hai jisse aapko koi nuksaan na ho.
How to hard reset smartphone?
So friends aapko niche ke yeh steps follow karne honge apne smartphone ko hard reset karne ke liye.
Settings - sabse pahle apne mobile ki settings open kijiye.
backup & reset - ab backup & reset option par click kariye.
factory data reset - ab aapko factory data reset par click karna hai.
reset phone - ab next steps me aapko Jo bhi reset karna hai use choose kar kijiye but me recommended karunga ki aap kuch bhi choose na kare.
reset smartphone - ab aapko apna password confirm karne ko kahega to password ko confirm kijiye aur reset smartphone par click kijiye.
Ab aapka smartphone reset hona start ho jayega. Isme 2 minutes se lekar 30 minutes tak lag sakte hai yeh aapke smartphone ke processor par depend karta hai.
So, ab hamne smartphone ko hard reset to kar liya ab isko set kaise karenge? To is niche diye hue steps ko follow karke aap apne smartphone ko set kar sakte hai.
Welcome - sabse pahle aapko welcome message show hoga aur lenguage select karme ko kshega to language select kijiye & continue kijiye.
setup simcard (primary simcard, call, messages) - ab apne sim cards ko setup kar lijiye.
select WiFi for setup - agar aapke paas hai to connect karke setup kar lijiye warna skip kar lijiye.
your first & second name - ise aap ya to skip kar dijiye ya phir fillup kar lijiye yeh aapki marji hai.
Terms & conditions - inhe agree par click karke aage badhiye.
now you can setup your smartphone
Koi bhi sawal ho to niche comment kare ham aapke sawaalo ka jawaab jald denge. Agar post pasand aaya ho to ise sabhi jagah faila do ise itna share karo ki social media me dhoom macha de.
great news, I also search this type of news
ReplyDeleteI feel a lot more people need to read this, very good info! . air monitor
ReplyDeleteAfter reading your article I was amazed. I know that you explain it very well. And I hope that other readers will also experience how I feel after reading your article. Juice wrld vlone tee
ReplyDeleteIt's really nice and meanful. it's really cool blog. Linking is very useful thing.you have really helped lots of people who visit blog and provide them usefull information. tax accountant
ReplyDelete