Sunday, December 23, 2018

Types of Software | (सॉफ्टवेयर के प्रकार)

What is Software

Software kya hai? Aur kitne prakar ke hote hai? Yeh sawaal aapse bahuto ne poocha hoga to hab sabse pahle jante hai ki Software hote kya hai.
Software aur Hardware se milkar ek computer banta hai. Isko aise samjhe ki Software Computer ki aatma hai aur Hardware Computer ka shareer. Yaani ham Hardware ko Haath laga sakte hai lekin Software ko haath nahi laga sakte ham Software par kewal work kar sate hai. To me aapko Hardware & Software ke kuch example de raha hu:-
Hardware
    Mouse
    Keyboard
    Monitor
    C.p.u.

Software
    M.s. word
    Operating System
    

Types of Software

So, friends I hope ki aap jaan gaye honge ki Software & Hardware kya hote hai. 
To ab aate hai main topic par ki Software kitne tarah ke hote hai. 

Software 3 Types ke hote hai
1. System Software

2. Application Software

3. Utility Software

1.  System Software
Yeh Software System ko Manage karte hai Inko ham manage nahi kar sakte hai, kyuki yeh automatic hote hai. Agar System ko example de kar samjhe to ham jab Computer ko On karte hai to Operating System khud hi booting karta hai na ki ham isko Command dete hai.


2.  Application Software
Yeh WO Software hote hai jinpar User yaani ham work karte hai. Yeh Software ko chalane ke liye Command dena padta hai na ki yeh khud work karte hai.

3.  Utility Software
Yeh Software, System Software & Application Software dono ko manage karte hai.

Agar aapko post pasand aayi hi to ise apne sabhi friends ke saath share kijiye aur koi bhi sawaal ho to niche comment kijiye.

No comments:

Post a Comment