Saturday, October 20, 2018

Views increase but subscribers not increase on youtube why?? Solution!

Kya aapke YouTube channel par views aate hai but subscribers nahi badh rahe? To, dosto iska jawaab maine dhoondh liya hai aur aaj ka mera yeh article post karne ka yahi kaaran hai kyuki mere bahut se friends ne mujhse poocha tha ki " hamare YouTube channel views to aate hai but subscribers nahi badhte hai aisa kyu"


Views increase but subscribers not increase
So friends, aapki YouTube videos par views isliye aate hai ki aapki videos interesting hai, aapne Jo video banai hai wo logo ko pasand aa rahi hai to aisi kya baat hai ki hamare subscribers nahi aate to in niche diye gaye topics ko padhiye.

1. Niche youtubing :-
Friends agar aapke YouTube channel par subscribers nahi aate to iska main kaaran ho sakta hai ki aapka channel ka koi niche nahi hona hai. Dosto niche yaani kisi ek field aapko choose karna hai yaani aap technology, entertainment, business jaise kisi ek niche ko aapko choose karna hai?
Agar aapke viewers jab aapke channel ko visit karenge to unko Jo jaankari chahiye hogi agar unko us jaankari se related pura ka pura channel bhara milega to WO aapke channel ko subscribe kiye bina wapas nahi jaayega aur friends aapko ek baat aur bata du ki aapko video me apna best dena hai kyuki bina quality ki videos me viewers par bhi kharaab impression padta hai.

How to increase YouTube subscribers

2. Best channel name :-
Friends, channel name ka bhi aapke subscribers par kaafi impression padta hai, to apne YouTube channel name ko sabse alag kuch hatkar rakhe aur iska ek faayda yeh hoga ki aapke channel ka Jo link hoga uske liye bhi aapko alag keywords lagane ki jarurat nahi hogi Jo aapke channel ka name hoga wahi aapke channel ka link hoga.

3. Channel logo :- 
Aapko yeh padkar thoda ajeeb lagega lekin agar aapko apne channel ko kuch professional dikhana hai to aapko apna channel logo bhi professional hi banana padega taaki logo ko aapka channel par aakar lage ki aapka channel dusre YouTube channels se kuch to hatkar hai kuch alag hai.

4. Channel banner :-
Meri maane to Jo bhi viewers aapke channel par visit karta hai aur us par sabse pahle padne wala 40℅ impression channel banner ka padta hai to channel banner ko bhi looking banaye taaki aapke visitors ko aapka channel accha lage aur WO channel subscribe karke hi jaaye.

How to increase subscribers on youtube

Koi bhi question ho to comment kare ham jald hi aapke question ka jawaab denge. Successful youtuber banana hai to hamare blog ko visit kare yaha YouTube se related aur earn money se related daily articles post hote hai.

Agar aapko yeh post pasand aayi ho to ise apne YouTuber friends ke saath bhi share kijiye taaki unko bhi iske baare me pata chale.

No comments:

Post a Comment