Sunday, October 28, 2018

Youtube Par Sabhi Videos Ko Ek Saath Monetize Kaise Kare?

Youtube Par Sabhi Videos Ko Ek Saath Monetize Kaise Kare?

Agar aap ek youtube creator hai? Aur apni YouTube videos ko upload karte hi baar-baar monetize karna padta hai? To aap bahut pareshan ho chuke honge? To aaj me aapke liye ek trick lekar aaya hu jiski madad se aap YouTube ki sabhi videos ko ek baar me monetize kar sakte hai.


Dhyaan de:- 

Friends, agar aapke channel ka monetization on nahi kiya hai YouTube ne to yeh video aapke liye nahi hai, kyuki yeh video sirf monetize on hue channels ki sabhi videos ko monetize karne ka work karte hai taaki aapka time busy time bachaya jaa sake.

Youtube Sabhi Videos Ko Ek Baar Me Monetize Kaise Kare?

YouTube ki sabhi videos ko ek saath monetize karne ke liye aapko yeh steps follow karne honge.

1. Sabse pahle YouTube web ko open kijiye.

2. Three dots par click kijiye.

3. My channel par click kijiye.

4. Video manager par jayiye.

5. Ab sabhi videos ko select kar lijiye.

6. Ab action par click kijiye aur kuch options show honge.

7. Monetize par click kijiye.

Successfully! Ab aapke channel ke sabhi videos monetize ho chuke hai.

Post pasand aaya ho to ise sabhi what's group me share kar do.

No comments:

Post a Comment