Thursday, December 20, 2018

increase youtube channel rank on google

Kya aapki YouTube videos par views nahi aate? YouTube videos par kam views aate hai? YouTube videos search me nahi aati? To aaj me aapke in sabhi sawaalo ke jawaab dunga aur aapko bataunga ki kaise aap apne YouTube channel ko ek professional channel ki tarah rank karwa sakte hai.


Youtube channel rank increase tips & tricks
So is video ko main kuch parts me devide karke bataunga ek-ek step ko puri tarah se details me bataunga to chaliye shuru karte hai.


Youtube channel rank increase tips & tricks

1. Title - 
Jab aap koi video banate ho to keywords research karte ho? Nahi na to ab se jab bhi koi video banao to sabse pahle "Google" par jao aur video se related search karo aur Jo bhi first page articles ya YouTube video aaye unhi par apne YouTube video ka title rakhe kyuki abhi WO trending par hai. Aur Jo bhi video banao pehle search karo ki kis cheej ke liye video bana rahe ho aur WO product koi search bhi karta hai ki nahi warna pata chale ki aapki video to koi search hi nahi karta to popular to bahut door ki baat hai video par views bhi nahi aayenge.

2. Description - 
Jab bhi video me description likhe to kam se kam 1000 words ka jaroor likhe aur Jo bhi apne apni video me bataya hai un sabko apni video me likh de.
And video me 5-6 apne channel ki other videos ki bhi link de jisse koi bhi video ka description check kare aur unki najar un links par pade to WO kisi ek link par to click jaroor karenge jisse aapke views aayenge aur aapka channel promote hoga. Aur apni video me apne social accounts ki link bhi jaroor de kyuki social media hi aisi cheek hai Jo aapke liye bahut jaroori hoti hai chahe phir yeh aapki shuruaat ho ya professional.

3. Tags -
So tags ki baat kare to yahi WO words hote hai jinpar aapki video rank hoti hai to tags kaise lagaye iske liye aap hamari yeh post padh sakte hai:- YouTube videos par tags kya hai aur inka use kaise kare

4. Hastag (#) -
Friends, hastag aajkal bahut popular ho rahe hai YouTube par. To aap bhi apne channel ke name ko hastag kijiye aur yaad rahe ki aap kewal 1 hi hastag ka use kare apne YouTube video par aur bhi sirf apne YouTube channel ke name ke aage kyuki isse aapki YouTube videos bahut popular hogi waise aap apne video par 15 hastag tak use kar sakte hai. Aur friends aapko hastag ka use video ke description me karna hai kyuki inka use description me hi kiya jaata hai.

5. Video publish time -
Video publish ka bhi ek time jisse aapke jyada viewers aapki video dekhe aur aapka video jaldi se popular ho jyada jaankari ke liye yeh lost jaroor padhe.:- YouTube video publish karne ka sahi time


Agar aapko YouTube se related ya koi bhi tech, internet se related question hai to aap comment kare main aapke sawaalo ka jawaab jald se jald dene ki koshish karunga.


Agar aapko yeh post pasand aayi ho to ise apne WhatsApp friends ke saath bhi share kijiye post ladne ke liye dhanyawaad.

No comments:

Post a Comment